Shama Hai Jali Lyrics – Sanam Puri

Shama Hai Jali Lyrics by Sanam Puri is a Hindi patriotic track for the occasion of Independence Day. Siddhant Kaushal has penned its lyrics.

Shama Hai Jali lyrics by Sanam Puri

Shama Hai Jali – Sanam Puri


Dhoop ne likha khidkiyo pe kal
Sab paheliyo ka sahi se hal
Kahi andhiyon se tha apna vasta
Jinki vajah se tha dhundla rasta

Lahar seene me utth rahi hai
Ek aag ki abhi
Sehar aane waali nayi hai
Ummeed se bhari
Ungliyan uthate hain kyo bhala
Doosron pe khud pe na hum yaha

Jazba raghon mein hone laga rawaan
Pohanchega har disha apna yeh jahan

Shama hai jali dilo me abhi
Shama hai jali bujhe na kabhi
Zamin junoon ho, wahin sukoon ho
Zamin junoon ho

Dar se haar ke
Toote jo agar dil ka hosla
Yaad karna phir ghutnon se hi
Uth ke tu tha chala
Badhne laga hai suraj soch ka
Pahunchega har disha apna yeh jahaan

Jazba raghon mein hone laga rawaan
Pohanchega har disha apna yeh jahan

Shama hai jali dilo me abhi
Shama hai jali bujhe na kabhi
Zamin junoon ho, wahin sukoon ho
Zamin junoon ho
Zamin junoon ho
Wahin sukoon ho
Wahin junoon ho


Advertisement


Shama Hai Jali Song Detail

Lyrics by: Siddhant Kaushal
Singer: Sanam Puri