MAIN TUMHARA LYRICS – DIL BECHARA

Main Tumhara Lyrics from Dil Bechara is latest song sung by Hriday Gattani and Jonita Gandhi. Main tumhara song lyrics are written by Amitabh Bhattacharya while its music is given by AR Rahman.

Main Tumhara Lyrics from Dil Bechara

Main Tumhara – Hriday Gattani


Tum na huye mere to kya
Tum na huye mere to kya
Main tumhara main tumhara
Main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitara raha

Rishta raha bas reth ka
Aye samandar main tumhara kinara raha
Main tumhara main tumhara
Tumhara raha

Tum na huye mere to kya

Tu hi pehli guzarish
Hasrat bhi tu akhiri
Maahi mere maseeh
Marzi bata kya teri

Main tumhara main tumhara
Main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitara raha

Main jaadon ke maheene ki tarah
Aur tum ho pashmeene ki tarah
Main deewaron ki tarah hoon
Tum jaise ho dareecha
Main bageecha jo tumne seencha

Tum na huye mere to kya
Tum na huye mere to kya
Main tumhara main tumhara
Main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitara raha

Rishta raha bas reth ka
Aye samandar main tumhara kinara raha
Main tumhara main tumhara
Tumhara raha


Advertisement


Main Tumhara Song Detail

Film/Album: Dil Bechara
Lyrics by: Amitabh Bhattacharya
Singer: Hriday Gattani, Jonita Gandhi
Composer: AR Rahman